Shaadi Ke Baad Pehli Raat
====================
Shadi karna sunnat hai aur islam ka ek hissa hai. Isliye har insan ko shadi karna chahiye. Bagher kisi jaiz wajah ke agar koi shaadi nahi kar raha ya der se kar raha hai to ye islam ke khilaf hai.
Jin logo ki shadi hone wali hoti hai, unme se bahut se logo ke dimaag mein kuch sawal hote hain ki islam ke hisab se shaadi ke baad ki pehli raat ko kya karna chahiye, ya iska sahi tarika kya hai.
Hum yaha pehli raat ki kuch baat karege, lekin ye baat sirf islam sikhne ki niyat se padhiye, dil mein kuch gandagi na rakhiyeaur na koi galat comment karna. Hamara maksad sirf un logo ko islam ka tarika batana hai jinko is baare mein maalumaat kam hai.
Shaadi ke baad jab ladka room mein jaaye to sabse pahle salam kare, kheriyat maalum kare aur thodi baat karne ke baad ladki ki peshani (forehead) ke baal sidhe haath ahista se pakadiye aur ye dua padhe. Hadees dekhiye, Hazrat Muhammad (sallallaho alayhi wasallam) ne irshad farmaya : jab koi shaks nikah kare aur pehli raat (suhag raat) ko apni dulhan ke paas jaye to narmi ke sath uski peshani ke thode se baal apne sidhe hath me le kar yah duwa padhe :'Allahumma in'ni as'a'luka min khai'riha wakhai'ri ma fiha wakhairi ma jabalta'ha alai wa a'udhu bika min shar'riha washar'ri ma fiha wa sharri ma jabalta'ha alai'
(tarjuma : ae Allah me tujse iski (apni biwi ki) bhalai aur khairo barkat mangta hu aur uski fitari aadato ki bhalai aur teri panah chahta hu iski burai aur fitari aadato ki burai se.
(Abu Dawood : jild-2,page-150, Hasne Hasin : page-164)
(Bukhari shareef, Jild 3, Safa 473)
Peshani ke baal pakad kar dua karne se pahle apni biwi ko ye bata sakte hain ki ye hamare aaqa Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwsallam) ka hukm hai, warna jis ladki ko nahi maalum ho wo kuch galat na sochne lage.
Iske baad agar wuzu na ho to wuzu kar lijiye aur 2 rakat namaz padhiye, Ye namaz koi sunnat/farz/wajib nahi hai. Ye Allah ka shukr ada karne ke liye nafal namaz hai, Isliye padhna zaruri nahi lekin Allah ka shukr karne ki niyat se padhna chaho to padh lo. Namaz is tarah padhiye ki ladka aage ho aur ladki uske piche khade ho jaaye. namaz ke baad Shaadi saath kheriyat se hone ke liye Allah ka shukr ada kijiye aur ye dua kariye ki Allah is shaadi ko kaamyab banaye, aage bhi hansi-khushi rakhe, bacche nek de, aur is tarah bhi duwa kar sakte hain "ae ALLAH tera shukra aur ehsan hai ki tune hume ye din dikhaya aur hume is khushi wa ne'amat se nawaza aur hume apne Habib sallallaho alayhi wasallam ki sunnat par amal karne ki taufiq ata farmayi. aye Allah humari is khushi ko humesha isi tarah kayam rakh. hume mel-milap pyar muhabbat ke sath zindagi gujarne ki taufiq ata farma. ae Rabbe Qadir hume nek farmabardar aulad ata farma. AAMIN, aur iske alawa jo bhi aap shaadi ki kaamyabi ke liye dua karna chahe kar sakte hain. Dua ke pahle aur aakhir mein darud sharif padh lijiye.
Namaz ke baad kisi bhi kaam mein jald-baazi na karen, balki ladki se is tarah baat kariye ki uski thodi jhijhak door ho jaaye. Thoda apne baare mein baat kariye thoda uski suniye. Jab ladki ki thodi jhijhak door ho jaaye to aur aap saath mein sone ka irada karen to usse pahle ye dua padh lijiye.
"Bismillah, Allahumma jannib nash Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma razaq tana (Tarjuma: "ALLAH ke naam se. Ae ALLAH door kar hamse shaitan mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu hame ata karega")
"Jo shaks is dua ko Sohbat ke waqt padhega (Dua wahi jo upar likhi hai) to ALLAH us padhne wale ko agar Aulad ata farmaye to us Aulad ko Shaitan kabhi bhi nuksan na pahuncha sakega"
(Bukhari shareef Jild 3,Safa 85, Tirmizi shareef,Jild 1,Safa 557)
Note : Ye yaad rakhiye ki jo peshani ke baal pakad kar dua karna hai wo sirf pehli raat mein hi padhna hai aur ek hi baar padhna hai, lekin ye waali dua ("Bismillah, Allahumma jannib nash Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma razaq tana) aapko hamesha padhna, jab bhi biwi ke saath sone ka irada ho usse pahle is dua ko padhna zaruri hai, chhoti si dua hai, 4-5 baar padhne se yaad ho jaayegi, agar is dua ko padhe bagher aap biwi ke saath so
No comments:
Post a Comment