Tuesday, 19 November 2013

sub se takatwar

'ALLAH TA'ALA' Ne Jab Dono Jahan Banaye
To Saare Farishte Ek Jagah Jamma The.
..........۞..............۞...............۞
Farishton Ne Pucha:
'YA ALLAH'
..........۞..............۞...............۞
Duniya Mein Sabse Zyada Taaqatwar Cheez
Kaunsi Hai.??
..........۞..............۞...............۞
'ALLAH' Ne Farmaya:
Tum Log Bataao.??
..........۞..............۞...............۞
Farishton Ne Kaha:
Shaayad Sabse Taaqatwar Cheez Patthar
Banaya Hoga..
..........۞..............۞...............۞
'ALLAH' Ne Farmaya:
Patthar Ko Mera Loha Phod Deta Hai..
..........۞..............۞...............۞
Farishton Ne Kaha:
Accha To Loha Hoga.??
..........۞..............۞...............۞
'ALLAH' Ne Farmaya:
Lohe Ko To Meri Aag Pighla Deti Hai..
..........۞..............۞...............۞
Farishton Ne Kaha.
Accha To Phir Aag Taaqatwar Hogi.??
..........۞..............۞...............۞
'ALLAH' Ne Kaha:
Aag Ko To Mera Paani Bujha Deta Hai..
..........۞..............۞...............۞
Farishton Ne Kaha:
'YA ALLAH'
..........۞..............۞...............۞
Phir Duniya Me Wo Kaunsi Aisi Chiz Hai Jo
Sabse Zyada Taaqatwar Hai.??
..........۞..............۞...............۞
'ALLAH' RABBUL IZZAT Ne Farmaya:
Ek Momin Banda Apni Halaal Kamaai Se
Garibon Ko Jo 'Sadqah' Karta Hai..
..........۞..............۞...............۞
Woh 'Sadqah' Duniya Mein Sabse Zyada
Taaqatwar Hai...!!!

No comments:

Post a Comment